HO SAKTA HAI LYRICS – Angry Prash

Advertisement

Ho Sakta Hai Lyrics by Angry Prash and Varsha Tripathi is latest song sung by them while its music is given by Simarjeet Saini and Rishab Sadarangani. Lyrics of song is written by Prayag Purabia and Angry Prash and video is directed by Vaibhav Patil.

Ho Sakta Hai Lyrics by Angry Prash

Song – Ho Sakta Hai
Singers – Angry Prash, Varsha Tripathi
Musicians – Simarjeet Saini, Rishab Sadarangani
Lyricists – Prayag Purabia, Angry Prash

Ho Sakta Hai Lyrics

Ho sakta hai kar bada
Ho sakta hai lad zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai x (2)

Aaj main bata doon tumko
Gehra sa ek raaz
Jismein ghar mein hoti takleef
Karte mehnat din raat
Sath chhoda tera yaaron ne
Bandi ne chhoda hath
Yeh koyi badi problem nahi hai
Yeh sirf chhoti si hai baat

Sunn sunn meri baat
Na hum Hindu Musalman
Dharm jaat ke iss naam pe
Kyun lete sabki jaan
Hum bhi to hain ek insan
Phir kyun bante hain shaitaan
Agar ban’na hai mahaan
To band kar do apne kaan
Aur laga do thoda dhyan apne kaam pe

Agar jeena hai to jiyo
Thoda shaan se
Chalo chhodo is baat ko
Badalte hain halaat ko
Isse bhi badi problem hai
Aao milke usko jaan lo

Haan ladenge hum milke iss tufaan se
Har burai ko mita denge aaram se
Tu chhod chhoti takleefein
Tere sapne aasmaan mein
Yeh desh hai tere kandhe pe
Kar sakta hai tu jaan le

Ho sakta hai
Teri soch ko badha
Ho sakta hai
Chhoti baaton pe adaa
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai kar bada
Ho sakta hai lad zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai

Desh ko bacha liya
Duniya ka kya karega
Tu darta un darindon se
Ab kab tak tu darega
Is is terrorist ka naam
Jab tu duniya se mitayega
Duniya ke har kone mein
Khushiyon ka baadal chhayega

Advertisement

Chal uthkar ab tu saans le
Par saans le kis munh se
Dhuan hai poori duniya
Jaise baadal hai zamin pe
Zamin se thoda upar dekh
Upar mein bhi ek jhol hai
Hamare karmon se aaya
Ozone mein bhi ek hole hai

Chal ozone ko bhi chhod de
Ucha bhi thoda soch le
Yeh system jo solar ki
Usmein bhi kitne mod hain
Ek chhota comet aayega
Poori duniya ko udayega
Tab kitni teri soch
Aur kaise tu bachayega
Bol kaise tu bachayega
Ek chhota comet aayega
Bol kaise tu bachayega
Haan kaise tu bachayega

Tu thoda upar jaayega
To galaxy mein aayega
Iss galaxy mein jhaankega
To khud ko kahan payega
Yeh black hole hai bhai
Tu dhansta chala jayega
Iss moch jaisi soch mein
Tu phansta chala jayega
Phir kitni saari galaxy se
Banta yeh brhamaand hai
Ho sakta hai brhamaand
Kisi planet ki ek boond hai
Jab boond hi brhamaand
Teri soch kitni chhoti hai
Teri soch ko badha le
Yeh kar sakta hai tu jaan le

Ho sakta hai
Teri soch ko badha
Ho sakta hai
Chhoti baaton pe adaa
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai kar bada
Ho sakta hai lad zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai

Advertisement
SHARE

Facebook Conversation